Android Mobile Ko Unlock Kaise Kare

Android Mobile Ko Unlock Kaise Kare
By Mixing Channels

Hello Friends

Aaj ke is post me main aapko batane jaa raha hu ki android mobile ka lock kaise Tode
matlab android mobile ko bina password ke unlock kaise kare dosto agar app iske bare me janana chahte hai to is post ko shuru se last tak padhte rahne. 

dosto kai bar aisa hota hai ki hum apne android mobile ko lock kar ke password, pattern, bhul jate hai or ye soch kar pareshan ho jate hai ki ab hamara mobile kaise unlock hoga fir apne mobile ko unlock karwane kisi mobile shop par jate hai or shopkeeper isi bahane hamse 200-300 rupe le leta hai lekin dosto is post me jo trick main aap logo ko bata raha hu usme aapka ek bhi rupe kharch nahi hoga or aap bahut asani se apne mobile ko bina password ke unlock kar loge. 

Android Mobile Lock kitne type ke hote hai

dosto jyadatar mobile phone me 3 types ke lock hote hai jo ki hamare phone security ke liye hote hai

1. pattern lock  :- sabse jyada user pattern locks hi use karte hai is me hame apni mobile screen par 9 points show hota hai jis par ek pattern draw karna hota hai.

2. password lock :- is lock me hame keyword or numbers ko use karke phone lock karna hota hai. 

3. pin lock :- isme hame numbers ka use karke phone lock karna hota hai.

Android Mobile Ko Bina Password Ke Unlock Kaise Kare

dosto is process me aapke mobile ka  sara data reset ho jayega or aapka mobile bilkul new ho jayega is process ko start karne se pahle aap apne mobile se memory card remove kar le jis se aapke memory card ka data safe rahe. 

dosto kuch mobile company jaise Micromas, Samsung, HTC me factory data rest ka option alag-alag tarike se aata hai or jyadatar mobile phones me same hai to main niche aapko 3 process bata raha hu unhe follow kijiye

Micromax :- Power Key+ Volume up key+ volume down key

Samsung :- Volume up key+Home+Power key tino buttons ek sath dbaye rakhe 10 se 12 second tak.

HTC :- Volume up key+Power key 

1. Sabse pahle apna android mobile ko switch off kar de. 

2. Iske baad apne phone ko on kare or Power key+Volume up key+volume down key ek sath dabakar rakhe jab tak reset ka option na aa jaye.

3. Ab aapke samne kuch option ayenga jisme se aapko wipe data/factory reset ka option select karna hai.

ab aapko phone reset hone lagega thodi der wait kariye kuch der baad jab aapka phone restar ho jayega to pahle se jayda speed se kaam karega. 

Hey dosto mujhe lagta hai app samjh gaye honge is post ko padhne ke baad.Agar hamese koi sawal puchna ho to aap hame comment kar ke puch sakte hai aur Apne dosto ko bhi share jarur kare. 

Thank you readers..





Android Mobile Ko Unlock Kaise Kare Android Mobile Ko Unlock Kaise Kare Reviewed by Unknown on October 14, 2017 Rating: 5

No comments:

Dil Diya Gallan Lyrics Hindi

Dil Diya Gallan: Kachi doriyon, doriyon, doriyon se Mainu tu baandh le Pakki yaariyon, yaariyon, yaariyon mein Honde naa faasle ...

Amazon

Powered by Blogger.