Google Play Store Me fake apps ka pata kaise Lagaye

Mixing Channels

                      

Google Play Store mobile ke liye koi bhi android app download karne ke liye hum google play store ka hi use karte hai aise kisi bhi app ko asani se update ya download kiya ja sakta hai. Magar kai baar google play store me fake apps bhi aa jata hai jinhe download karne se hum sabki personal jankari me sendh lagne ki sambhawna badh jaati hai. ye real app se milte julte hi hote ai aur pehli baar me inhe pehchana mushkil hota hai. 

Ye fake apps aaj sabhi ke liye musibat ban gaya hai kyuki in fake apps me ek aisa virus hota hai jo hamari kai bhi jankari ko hack kar sakta hai. Ye app hacker ke banaye hote hai jo hamari zara si galti ka fayda utha kar hamara jaruri data churane ki koshish karte hai sirf itna hi nahi in apps me chhupe virus se hamara mobile tak kharab ho sakta hai. 

Aap ne shayad yese apps ke bare me suna hoga aur agar aap bhi yese app se bachna chahte hai to aapko ye janana jaruri hai ki konsa app fake hai aur konsa app real hai esliye aaj me apko is post me fake apps ko pehachan ne ka tarika bataoga. 


Check App Publisher

Har app ka ek publish hota hai aur aapka sabse pahle ye janana jaruri hai ki jis apps ko app download kar rahe hai us app ka publisher kon hai bahut se baar hacker apps ke name me mamuli sa badlav kar dete hai jisme hum mu apps ko dekhar bharam me aa jate hai is vajah se hum sabko sabse pahle unka name sahi tarike se padhna chahiye.

Aap kisi bhi app ko download karne se pahle muske publisher ke bare me pata kar le agar aap muske bare me nahi jante hai to muske bare me google pe search kare aur atpata ya anjaan name ke apps ka use na kare.

App Release Date 

Koi apps haal me hi aya hai to uski jankari aap muske sath judi tek  website se le sakte hai aur agar us app ki koi bhi jankari nahi hai aur us par kisi bhi site ka link nahi hai to app us app ko galti se bhi download mat kariye.

Customer Review

Agar aapko kisi apps ki jarurat hai aur app us apps ko download karna chahte hai to aapko sabse pahle uska customer review padhna chahiye agar app review ko achhe se padh logo to appko us apps ke bare me sahi janakari mil jayegi aur isse appko fake apps ka pata bhi chal jayega.

Spelling Mistake

Agar aap koi apps download kar rahe hai to uski spilling jarur padh le kyuki jo apps fake hoti hai unki spilling me gadbad jarur hoti hai is fake apps ko copy kar ke banya ja raha hai isliye inme spelling ki thodi bahut ho galti jati hai. Aur hum sab kisi bhi chiz ka look pahle dekhte hai aur spelling baad me dekhte hai 





Google Play Store Me fake apps ka pata kaise Lagaye Google Play Store Me fake apps ka pata kaise Lagaye Reviewed by Unknown on October 14, 2017 Rating: 5

No comments:

Dil Diya Gallan Lyrics Hindi

Dil Diya Gallan: Kachi doriyon, doriyon, doriyon se Mainu tu baandh le Pakki yaariyon, yaariyon, yaariyon mein Honde naa faasle ...

Amazon

Powered by Blogger.