Mobile Repairing Tips and Tricks

Mobile Repairing Tips
                        by Mixing Channels 



Hello dosto mobile aaj kal humare life ka sab se important part ban chuka hai. Mobile e bina hum 1 din bhi reh nahi sakte hai. Kyu ki technology ethne tezi se badh rahi hai ki jis chiz liye hum computer ka istemal karte hai wo sare kam hum smartphone se bhi kar sakte hai. Eske siva mobile ek portable device hone ke karana hum use kahi bhi kar sakte hai aur Le kar ghum sakte hai to yah ek badhiya technology hai par kya aap jante hai yah mobile ek electronic hardware device hone ke karan usme bhi kahi sare common problem hai jis ke vajah se mobile proper kam karna chhod deta hai to aaj ke post me hum mobile se judi inhi interesting trick ke bare me pata karenge ki kaise hum khud hi mobile ke problem ke bare me jan sakte hai 

Susmsung Mobile Restart or hanging problem

Dosto mobile me restart or hanging problem ek common software problem hai aur har mobile me time ke chalate kabhi na kabhi yah problem ko hame face karna parta hai. To agar aap ke pass samsung ka koi bhi mobile hai to sab se pahele mobile me 1 code insert kar ke dekho jaise ki.......

*#3855*2767#
*#2767*3855#

dosto enn code me se koi bhi ek code mobile me dalo. Jaise hi aap yah code mobile me dal kar ok button press karoge vaise hi aap ka mobile restart hoga. mobile restart hone ke baad aap ko mobile ki puri setting fir se karni hogi. Jaise ham new mobile lete hai same usi tarah ho jayega bass ek baat ka dhyan rakhna es process me aap ka data loss ho sakta hai esi liye mobile se memory card remove kar de. 
Dosto yah mobile reset hone ke baad fir se aap ka mobile hang ya slow chal raha hai to aap ko mobile ke software par kam karna hoga yani mobile me new software dalna hoga. 

How to Fix Mobile Network Problem 

Dosto aapne kahin bar dekha hoga ki kahi mobile me week network aata hai yani open area me hi mobile me kuch network available hota hai. Fir lock area me pura network gayab ho jata hai yah ek mobile me aane wali common problem hai dosto agar app ke mobile me bhi ye problem aa rahi hai to bass niche diye kuch step ko follow kare aur mobile se network problem ko fix kare. 

Sabse pahela mobile ka IMEI Number check karo. phone ka IMEI number check kar ne ke liye *#06# type kar ke enter karo 

Fir mobile me lage SIM card ko check karo Ki SIM card proper connected hai ya nahi kyu ki proper SIM na lagane ke vajah se mobile me network related problem show hote hai. 

3 SIM card ke baad mobile me network setting check karo Auto Network Manually Network check karo.

Fir Bhi mobile me network related problem hai to mobile open karna hai aur network antenna check karna hai jaise ki antenna ki cable loose to nahi agar loose hai to use tide karo fir bhi same problem hai to bass use cable ko change network related problem solve ho jayegi.


Dosto Fir bhi aap ke mobile me network related problem fix nahi hue hai to aapko Component Check karna padega check karne ke liye aapke pass multimeter hona chahiye multimeter ko buzzer rang pe set kare aur Network ke pass jitne component lage hue hai use check kare. agar waise bhi nahi hota hai to mere comment box me puch sakte hai. 


Mobile Se Jude Kuch bhi problem ho to mujhse Contact kare. 
Dosto Subscribe Karein Mere Youtube Channels ko (Mixing Channels)





Mobile Repairing Tips and Tricks Mobile Repairing Tips and Tricks Reviewed by Unknown on October 18, 2017 Rating: 5

No comments:

Dil Diya Gallan Lyrics Hindi

Dil Diya Gallan: Kachi doriyon, doriyon, doriyon se Mainu tu baandh le Pakki yaariyon, yaariyon, yaariyon mein Honde naa faasle ...

Amazon

Powered by Blogger.