Aadhar Card Me mobile Number Add ya Update Kaise Kare

Aadhar Card me mobile Number Add Kaise Kare
Mixing Channels




Hello Friends Iss post me aapko bataunga ki aadhar card me mobile number Kaise add kare  aaj kuch saalon se goverment ne aadhar card ko har jagah compulsory kar diya hai yani aapko har kaam ke liye ID ke taur pe aadhar card lagana jaruri ho gaya hai. Aur abb to mobile number me bhi aadhar card link karna jaruri hai agar aisa nahi kiya to aapka number band ho sakta hai.

Agar aapke pass ek aadhar card hai to aap sarkari koi bhi kaam kara sakte hai aadhar card me aapki puri details hoti hai. To AAp Jaan gye honge ki aadhar card kitna jaruri hai. To Agar apne aadhar card nahi banwaya hai to apne nearest aadhar center se aadhar card jarur banwaye. 

Agar apne aadhar card banwa liya hai jo ki lagbhag adhikar logo ne banwa liya hai. Usme aapka mobile number add nahi hai ya phir jo mobile number add kiya tha wo Gum ho gya hai to aapko iss post me iski puri jankari milegi ki kaise aadhar card me mobile number add kare ya phir new number update kare.

Aadhar card me Mobile Number Kaise Add Kare.

Aadhar card 2009 se start hua tha yani aaj se 7 saal pahle Uss samay ho sakta hai apke pass mobile nahi ho to appke aadhar me mobile number add nhi hua ya phir apne aadhar number banawate samay mobile number nahi diya. Magar ab mobile number add karna jaruri hai aur isse bahut se fayde hai. Toaadhar card me mobile number add karne ke liye step by step follow kaijiye ga. 

Mobile number add karne ke liye aapko sabse pahle ek form fill kar ke send karna hoga. Form yaha se download kare.------    Download Now 

Iss form ko sahi sahi fill kare aur isse form me niche diye gaye iss pate pe post kar de. Is form me aap mobile number jarur dalen aur isme niche diye gaye ID me se koi ek ID ki photocopy bhi form ke sath send kare. Jaise Pan Card, Passport, etc jo bhi usse post kare kisi ek address par.

Adress------




Aadhar Card Me Mobile Number UPdate Kaise Kare

Agar Aapko mobile number aadhar card me add hai aur aap koi aur new number update karna chahte hai to aap aadhar card me umber update kar sakte hai 

iske liye aap online asani se update kar sakte hai ab aap niche diye gye link ko open kare. 

Click This Link

Ab apna aadhar no enter kare aur text verification me captcha code enter kare aur send OTP pe click kare. 



Abb aapke registred mobile pe ek otp code ayega usse box me enter kare aur aage badhe.


Ab next step me aapko new mobile number enter karna hai aur sumit update request pe click karna hai

ab us number ke confirmation ke liye ek otp ayega use next box me enter kare aur submit kare ab aapki request sumit ho jayegi aur niche ek receiving milega isse download ya print kar ke rakh len. aur diye gaye URN No se hi aap new adhaar card ki update status check kar sakte. 



Aadhar Card Me mobile Number Add ya Update Kaise Kare Aadhar Card Me mobile Number Add ya Update Kaise Kare Reviewed by Unknown on October 16, 2017 Rating: 5

No comments:

Dil Diya Gallan Lyrics Hindi

Dil Diya Gallan: Kachi doriyon, doriyon, doriyon se Mainu tu baandh le Pakki yaariyon, yaariyon, yaariyon mein Honde naa faasle ...

Amazon

Powered by Blogger.